Me in America - Zabardast Shayeri
(Hyderabadi Perspective) By Reshma Ghouri |
Na Idhar ke Rahe …
Na Udhar ke Rahe...
Beech adhar atke rahe…
Na Hyderabad ku bhula sake
Na Amrica ku apna sake
Hyderabadi-Amrican ban’ke kaam chalate rahe |
Na Urdu ku chhod sake
Na Angrezi ku pakad sake
Desi accent mein goron ku confuse karte chale
Na Turkey ku paka sake
Na gravy bana sake
Murgi ku dam de ke thanksgiving manate chale
Na Christmas tree laga sake
Na bacchon ku samjha sake
Eid par Santa banke tohfe bat-te chale |
Na shorts pahen sake
Na shalwar chhod sake
Jeans pe kurta aur sneakers chadake itraate chale
Na, Nashte mein donut kha sake
Na khichdi khatta bhula sake
Pizza par mirchi chidakkar maza lete rahe
Na garmiyon ku bhula sake
Na baraf ku apna sake
Khidke se suraj ku dekhke ‘beautiful day’ kahte rahe |
Ab ayi baari Hyderabad ku jane ki……toh..
Haath mein paani ka sheesha lekar chale
Lekin wahan par...
Na gupchup kha sake
Na lassi pee sake
Peth ke darad se tadapte mare…
Gullathi kha ke kaam chalate rahe.. |
Na macchar se bhaag sake
Na khujli ku rok sake
Cream se dadodon ku chupate chale
Na fakiron se bach sake
Na dollar ku chupa sake
Naukaron se bi peecha chuda kar bhaagte rahe…
Na khuddi par baith sake
Na Kamot ku bhool sake
Bas beech adhar jhukke kaam chalate rahe…. |
Na idhar ke rahe…
Na udhar ke rahe…
Kambaqt, kahin ke Na rahe
Bas ‘ABCD’ aulaad ko aur confuse banate chale…
|